nashe mein hun magar aaluda-e-sharab nahin kharab hun magar itna bhi main kharab nahin kahin bhi husn ka chehra tah-e-naqab nahin ye apna dida-e-dil hai ki be-hijab nahin wo ek bashar hai koi nur-e-aftab nahin main kya karun ki mujhe dekhne ki tab nahin ye jis ne meri nigahon mein ungliyan bhar din to phir ye kya hai agar ye tera shabab nahin mere surur se andaza-e-sharab na kar mera surur ba-andaza-e-sharab nahin