nashtar si dil mein chubhti hui baat le chalen

nashtar si dil mein chubhti hui baat le chalen
aae hain to khulus ki saughat le chalen

viraniyon ke ghar mein mera dam hi ghut na jae
aa ai khayal-e-yar tujhe sath le chalen

jab raushni thi chalta tha saya bhi sath sath
ab hai andheri raat kise sath le chalen

jis mein umid-o-yas fareb-e-nazar rahi
is haft-khwan-e-gham ki riwayat le chalen

sham-e-umid jis mein farozan na ho saki
ab us ki bazm-e-naz mein wo raat le chalen

kuchh bekason ke ghar jale kuchh be-dayar hain
un ke huzur ashkon ki barsat le chalen

rang-e-shafaq mein khun-e-shahidan hai jalwa-gar
apne azim mulk ki saughat le chalen

apne nagar mein bas yahi kirchen hain har taraf
kuchh gauhar-e-talafi-e-mafat le chalen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close