nasiba jag uTTha aur muqaddar ban gaya apna

nasiba jag uttha aur muqaddar ban gaya apna
jahan diwar hai us ki wahin ghar ban gaya apna

na jaane dhup ne apni zaban mein kya kah us se
shajar ke jism se saya nikal kar ban gaya apna

hamari aankh se nindon ka rishta todne wale
koi tujh se siwa khush-rang paikar ban gaya apna

hamara sar salamat hi raha sang-e-hawadis mein
jo patthar bhi idhar aaya wo patthar ban gaya apna

safar mein sath apne dhup dariya aur samundar the
hamari khush-nasibi thi samundar ban gaya apna

hawa barish samundar ka kinara aur hum donon
kuchh aise kho gae manzar mein manzar ban gaya apna

yahi barish ka mausam tha hawaen tez thin us din
bahut bhiga hua tha wo simat kar ban gaya apna

'matin' ek umr guzri hai sukhan ko aab dene mein
tabhi almas-lahja sab se hat kar ban gaya apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close