naw kaghaz ki sahi kuchh to nazar se guzre

naw kaghaz ki sahi kuchh to nazar se guzre
us se pahle ki ye pani mere sar se guzre

phir samaat ko ata kar jaras-e-gul ki sada
qafila phir koi is rahguzar se guzre

koi dastak na sada koi tamanna na talab
hum ki darwesh the yun bhi tere dar se guzre

ghairat-e-ishq to kahti hai ki ab aankh na khol
is ke baad ab na koi aur idhar se guzre

main to chahun wo sar-e-dasht thahar hi jae
par wo sawan ki ghata jaisa hai barse guzre

habs ki rut mein koi taza hawa ka jhonka
baad-o-baran ke khuda mere bhi ghar se guzre

mujh ko mahfuz rakha hai mere chhote qad ne
jitne patthar idhar aae mere sar se guzre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close