nawa-e-haq pe hun qatil ka Dar aziz nahin

nawa-e-haq pe hun qatil ka dar aziz nahin
pade jihad to apna bhi sar aziz nahin

pada hua hun sar-e-rahguzar to rahne de
teri gali se ziyaada to ghar aziz nahin

faqir-e-shahr ko lal-o-guhar se kya nisbat
mere aziz mujhe mal-o-zar aziz nahin

phalon ko lut ke le jao ped mat kato
shajar aziz hai mujh ko samar aziz nahin

wo log hum se alag apna rasta kar len
ki jin ko shahr-e-wafa ka safar aziz nahin

bahut aziz hain mujh ko mohabbaten lekin
mohabbaton mein siyasat 'zafar' aziz nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close