nawed-e-amad-e-fasl-e-bahaar bhi to nahin

nawed-e-amad-e-fasl-e-bahaar bhi to nahin
ye be-dili hai ki ab intizar bhi to nahin

jo bhul jae koi shaghl-e-jam-o-mina mein
gham-e-habib gham-e-rozgar bhi to nahin

mariz-e-baada-e-ishrat ye ek jahan kyun hai
surur-e-baada ba-qadr-e-khumar bhi to nahin

mata-e-sabr-o-sukun jis ne dil se chhin liya
wo dil-nawaz ada-ashkar bhi to nahin

qafas mein ji mera lag to nahin gaya hamdam
ki ab wo nala-e-be-ikhtiyar bhi to nahin

hai ain wasl mein bhi pur-kharosh-e-parwana
sukun-e-qalb ba-aghosh-e-yar bhi to nahin

nigah-e-naz ki be-gana-e-mohabbat hai
sitam to ye hai ki be-gana-war bhi to nahin

wo ek rahbar-e-nadan ki jis ko ishq kahen
dubo ke kashti-e-dil sharmsar bhi to nahin

junun ko dars-e-amal de ke kya kare koi
ba-qadr-e-hausla-e-dil bahaar bhi to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close