nawed-e-yaum-e-bahaaran KHizan se zahir ho

nawed-e-yaum-e-bahaaran khizan se zahir ho
misal-e-saut-e-pareshan fughan se zahir ho

tujhe guman hai agar khud pe lafz-e-raushan ka
rida-e-shabnam-e-ijz-e-bayan se zahir ho

chamak uthe meri aankhon mein ashk ki surat
jo aag dil mein hai raushan zaban se zahir ho

kisi bhi samt se ubhre sitara-e-awaz
nahin ye qaid ki wo aasman se zahir ho

wo kaenat ka khaliq sahi magar 'asif'
yaqin hai khud pe use to guman se zahir ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close