naya ek zaKHm khana chahta hun

naya ek zakhm khana chahta hun
main jine ko bahana chahta hun

rula deti hai har sachchi kahani
main ek jhuta fasana chahta hun

mahak se jhum uthe sara jiwan
main aisa gul khilana chahta hun

mohabbat meri behad khud-gharaz hai
tujhe sab se chhupana chahta hun

ye pagal-pan nahin to aur kya hai
main sach-much muskurana chahta hun

bahut masum tha wo daur-e-wahshat
main phir jangal basana chahta hun

khao khwab ya lahrao saghar
main khud ko bhul jaana chahta hun

khudaya dard ko de aur shiddat
ki main ab haar jaana chahta hun

wo aa jaen to dil par ho na qabu
wahi qissa purana chahta hun

mere har dukh ka karan hain ye aankhen
main ye dipak bujhana chahta hun

koi shahzad ko mujh pas lae
main us ka dukh batana chahta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close