nazar bhar ke yun jo mujhe dekhta hai

nazar bhar ke yun jo mujhe dekhta hai
bata bhi de mujh ko ki kya sochta hai

mohabbat nahin jaise kya kar liya ho
zamana mujhe is qadar tokta hai

december ki sardi hai us ke hi jaisi
zara sa jo chhu le badan kanpta hai

lagaya hai dil bhi to patthar se main ne
meri zindagi ki yahi ek khata hai

jise dekh ke gham bhi rasta badal de
wo chehra na jaane kahan lapata hai

koi baat dil mein yaqinan hi hai jo
wo milte hue ghaur se dekhta hai

usi ki gali ka koi ek ladka
mohabbat ka mujh se hunar puchhta hai

na dhundho kahin bhi milunga yahin pe
ye ujdi haweli hi mera pata hai

koi farq padta nahin 'mit' ko ab
jahan us ke bare mein kya sochta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close