nazar bhi aaya to khud se chhupa liya main ne ye kaun hai jise apna bana liya main ne tumhaara lams chhupa hai badan ki parton mein chhua jo khud ko laga tum ko pa liya main ne usi ke samne jo rahmaton ka malik hai shikayaton ko dua mein mila liya main ne na kuchh dawa ki zarurat na chaara-gar ki talash ye rog kaun sa dil ko laga liya main ne jhulas gaya hun jala hun dhuan dhuan ho kar andheri raat se tum ko bacha liya main ne wo milne-julne ke mausam guzar gae kab ke mila jo koi gale se laga liya main ne tumhaare sach ki hifazat mein yun hua akasr ki apne-ap ko jhuta bana liya main ne