nazar jo aaya us pe eatibar kar liya gaya

nazar jo aaya us pe eatibar kar liya gaya
haqiqaton ke dark se farar kar liya gaya

quyud-e-agahi se jab sahm gain jibillaten
nazar ke gird rang ka hisar kar liya gaya

shuhud ki jo sath pe ananiyat ka shor utha
to daman-e-khudi ko tar-tar kar liya gaya

guman hua ki rasta abhi meri nazar mein hai
sharir shutr-nafs be-mahaar kar liya gaya

jo log dil ki uljhanon mein gharq the khamosh the
unhen bhi ahl-e-jazb mein shumar kar liya gaya

rah-e-talab ki sakhtiyon ke shikwe lab-ba-lab hue
surur-e-jidd-o-jahd ko khumar kar liya gaya

chale kabhi kabhi udhar se azmaton ke qafile
wafa ka azm jin se paedar kar liya gaya

wo ishq tha ki bandagi zaruraten ki aagahi
bas ek rabt tha jo ustuwar kar liya gaya

waraq waraq rumuz-e-agahi ke the likhe hue
kutub ko bar-e-pusht-bar-himar kar liya gaya

usul aur furua sab 'shahab' ek taraf hue
ajab nizam-e-zist ikhtiyar kar liya gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close