nazar mili thi kisi be-KHabar se pahle bhi

nazar mili thi kisi be-khabar se pahle bhi
sada-e-tishna uthi thi jigar se pahle bhi

ye sehr kam hai ki shadab ho gaya sahra
bahe the ashk bahut chashm-e-tar se pahle bhi

naya nahin hai taqaza-e-shisha-o-tesha
guzar chuka hun main is dard-e-sar se pahle bhi

main khak chhanne wala sawad-e-sahra ka
pade the panw mein chhaale safar se pahle bhi

hisar-e-lafz-o-bayan mein na rah saka 'nami'
ki aashna tha maqam-e-hunar se pahle bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close