nazar milte hi barse ashk-e-khun kyun dida-e-tar se ragen qalb-o-jigar ki chhed din kya tum ne nashtar se yaqinan kuchh talluq hai tere dar ko mere sar se wagarna lauh-e-peshani ka kya rishta hai patthar se mere pahlu mein hai aabaad armanon ki ek duniya hazaron mayyaten uthengi mere sath bistar se wo apni zulf bikhra kar tasawwur hi mein aa jate ye saya bhi utha ab to meri ummid ke sar se wafa ne hasrat-e-kushta ka us ko khun-baha samjha gira jo ashk daman par lahu ka dida-e-tar se sunaun tum ko wo lafzon mein haal-e-khubi-e-qismat mere daman par barse bhi to ashkon ke guhar barse meri hasti mitane wale shayad tu nahin waqif ki mit kar bhi banegi ek duniya mere paikar se khayal-e-abla-pai 'waqar' ek uzr-e-be-ja tha na ghar tha dur manzil se na manzil dur thi ghar se