nazar se dur hain dil se juda na hum hain na tum gila karen bhi to kya be-wafa na hum hain na tum hum ek waraq pe to hain do huruf ki surat magar nasib ka likkha hua na hum hain na tum hamari zindagi parchhaiyon ki khamoshi qarib lati hai jo wo sada na hum hain na tum hum ek sath hain jab se ye rog hain tab se kisi bhi rog ki lekin dawa na hum hain na tum hamare jism hain pani pe jaise taswiren bikharte rangon ke dukh ka sila na hum hain na tum duhaiyan jo nahin den 'zafar' sitam sah kar samajh rahi hai ye duniya khafa na hum hain na tum