nazar se guftugu KHamosh lab tumhaari tarah

nazar se guftugu khamosh lab tumhaari tarah
ghazal ne sikhe hain andaz sab tumhaari tarah

jo pyas tez ho to ret bhi hai chadar-e-ab
dikhai dur se dete hain sab tumhaari tarah

bula raha hai zamana magar tarasta hun
koi pukare mujhe be-sabab tumhaari tarah

hawa ki tarah main be-tab hun ki shakh-e-gulab
lahakti hai meri aahat pe ab tumhaari tarah

misal-e-waqt mein taswir-e-subh-o-sham hun ab
mere wajud pe chhai hai shab tumhaari tarah

sunate hain mujhe khwabon ki dastan aksar
kahaniyon ke pur-asrar lab tumhaari tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close