nazdikiyon mein dur ka manzar talash kar

nazdikiyon mein dur ka manzar talash kar
jo hath mein nahin hai wo patthar talash kar

suraj ke ird-gird bhatakne se faeda
dariya hua hai gum to samundar talash kar

tarikh mein mahl bhi hai hakim bhi takht bhi
gumnam jo hue hain wo lashkar talash kar

rahta nahin hai kuchh bhi yahan ek sa sada
darwaza ghar ka khol ke phir ghar talash kar

koshish bhi kar umid bhi rakh rasta bhi chun
phir is ke baad thoda muqaddar talash kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close