nazren milin charagh jale raushni hui

nazren milin charagh jale raushni hui
lau de uthi phir apni tabiat bujhi hui

khun-e-jigar se nikhre khad-o-khal-e-arzu
dil ke lahu se shakh-e-tamanna hari hui

ab subh-e-nau-bahaar ki kya aarzu karen
ek shakh-e-ashiyan hai so wo bhi jali hui

phir yaad aa gain shab-e-hijran ki talkhiyan
dil ko kabhi khushi jo ghadi-do-ghadi hui

bhadka diya use tere do din ke pyar ne
ek umr se jo aag thi dil mein dabi hui

dil hi to ek dair-o-haram ka charagh tha
dil bujh gaya to phir na kahin raushni hui

duniya ba-juz tilism-e-nazar aur kuchh nahin
khud ko diye fareb agar aagahi hui

wo chand-raat tera bichhadna nazar mein hai
is ghar mein tere baad kahan raushni hui

is khud-fareb dil ne wo ruswa kiya hamein
hum apne ho sake na teri bandagi hui

aabaad jis se thin meri tanhaiyan 'kalim'
nazron mein hai wo mahfil-e-yaran saji hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close