nigah-e-naz ka rishta jo dil ke ghaw se hai

nigah-e-naz ka rishta jo dil ke ghaw se hai
ye aab-o-rang-e-tamanna isi lagaw se hai

ba-qadr-e-zarf piye aur apni rah lage
sharab-khane ki raunaq hi chal-chalaw se hai

wafa to kya hai bas ek pas-e-waza kah lije
aur itni baat bhi mere hi rakh-rakhaw se hai

hakim apne hi sae ki nap-tol mein gharq
farogh-e-fikr magar aql ke giraw se hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close