nigah-e-qahr hogi ya mohabbat ki nazar hogi

nigah-e-qahr hogi ya mohabbat ki nazar hogi
maza de jaegi dil se agar ai sim-bar hogi

tumhein jaldi hai kya jaana abhi to raat baqi hai
na ghabrao zara thahro koi dam mein sahar hogi

abhi se sare aalam mein to ek andher barpa hai
na jaane kya ghazab dhaegi jab ye ta-kamar hogi

na laegi to kya bechain bhi un ko na kar degi
hamari aah kya kam-bakht itni be-asar hogi

hum us ko dekh lenge aur wo hum ko na dekhegi
nigah-e-yar kya mahfil mein itni be-khabar hogi

chala jata to hun main bahrup ban kar un ki mahfil mein
kahunga kya rasai gar kahin munh dekh kar hogi

nigah-e-lutf se dekhega mujh ko ek jahan to kya
agar tum dekh loge meri qismat arsh par hogi

asiri mein bhi yaad-e-gul karegi is tarah bulbul
qafas ke dar pe sar hoga, su-e-gulshan nazar hogi

jo be-jurmi pe bhi 'bismil' ko tum ne kar diya bismil
bataoge bhala kya hashr mein pursish agar hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close