nigah-e-tishna se hairat ka bab dekhte hain

nigah-e-tishna se hairat ka bab dekhte hain
bisat-e-ab pe raqs-e-sarab dekhte hain

ukhadte khemon pe kya qahr-e-sham tuta hai
lahu mein duba hua aaftab dekhte hain

nahin hai qatre ki auqat bhi jinhen hasil
wo kam-nazar bhi samundar ke khwab dekhte hain

unhen to waqt ki gardish asir kar bhi chuki
wo ab guzishta zamane ka khwab dekhte hain

hamein to mauj-e-rawan bhi nazar nahin aati
wo log aur hain jo zer-e-ab dekhte hain

dayar-e-shauq ki mitti mein kya guhar hi nahin
numu ki rut ko bhi be-ab-o-tab dekhte hain

saza milegi hamein to ziya-ba-doshi ki
charagh-e-jaan pe hawa ka itab dekhte hain

mila nahin unhen sairabi-e-wujud ka lams
ye dasht sadiyon se rah-e-sahab dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close