nigah ka war tha dil par phaDakne jaan lagi

nigah ka war tha dil par phadakne jaan lagi
chali thi barchhi kisi par kisi ke aan lagi

tera zaban se milana zaban jo yaad aaya
na hae hae mein talu se phir zaban lagi

kisi ke dil ka suno haal dil laga kar tum
jo howe dil ko tumhaare bhi mehrban lagi

to wo hai mah-jabin misl-e-dida-e-anjum
rahe hai teri taraf chashm-e-yak-jahan lagi

khuda kare kahe tujh se ye kuchh khuda-lagti
ki zulf ai but-e-bad-kesh tere kan lagi

udai hirs ne aa kar jahan mein sab ki khak
nahin hai kis ko hawa zer-e-asman lagi

kisi ki kawish-e-mizhgan se aaj sari raat
nahin palak se palak meri ek aan lagi

tabah bahr-e-jahan mein thi apni kashti-e-umr
so tut-phut ke bare kinare aan lagi

tumhaare hath se sine mein dil se ta-ba-jigar
sinan o khanjar o paikan ki hai dukan lagi

khadang-e-yar mere dil se kis tarah nikle
ki us ke sath hai ai 'zauq' meri jaan lagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close