nigah-o-dil se guzri dastan tak baat ja pahunchi

nigah-o-dil se guzri dastan tak baat ja pahunchi
mere honton se nikli aur kahan tak baat ja pahunchi

bahe aansu zamin par aasman tak baat ja pahunchi
kahi zarron se lekin kahkashan tak baat ja pahunchi

abhi hai ikhtilaf-e-jam-o-mina raaz ki had tak
na-jaane kya ho gar pir-o-mughan tak baat ja pahunchi

raqibon ne yunhi dawa kiya tha jaan-nisari ka
magar meri badaulat imtihan tak baat ja pahunchi

samajhte the rahegi zindagi mahdud-e-gul-bulbul
magar takhrib-e-nazm-e-gulistan tak baat ja pahunchi

chhida tha bazm mein kal tazkira mizhgan-o-abru ka
badhi kuchh is qadar tegh-o-sinan tak baat ja pahunchi

maal-e-jurm-e-taqsim-e-watan kya kam tha rone ko
ki ab fikr-o-malal-e-ashiyan tak baat ja pahunchi

chhupa rakha tha jis ko muddaton se dil mein ai 'anwar'
hazar afsos wo sharh-o-bayan tak baat ja pahunchi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close