nigahon se meri nigahen bachae

nigahon se meri nigahen bachae
chale aa rahe hain wo tufan uthae

lahu dil ka ashkon mein kyun aa na jae
kahan tak koi raaz-e-ulfat chhupae

usi ki hai duniya usi ka zamana
jo sab kuchh hata kar kabhi kuchh na pae

abhi kuchh hai baqi nishan-e-nasheman
kaho barq se aur abhi zulm dhae

chale aaenge khud wo betab ho kar
junun-e-mohabbat mera badh to jae

nirale hain rasm-o-riwaj-e-mohabbat
wahi par hota hai jo dub jae

raha ek aalam na 'iqbaal' apna
kabhi ro diye to kabhi muskurae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close