nigar-e-paikar-e-farda mein Dhal ke dekhte hain

nigar-e-paikar-e-farda mein dhal ke dekhte hain
hum apne waqt se aage nikal ke dekhte hain

tumhaari aankh mein tewar ghazal ke dekhte hain
isi liye tumhein pahlu badal ke dekhte hain

suna hai surkh-ru hone ka ye tariqa hai
so tere ishq ki aatish mein jal ke dekhte hain

hamin hain ek jo lipte hain apne mazi se
jahan mein warna sabhi khwab kal ke dekhte hain

ye dekhte hain ki kahte hain log kya hum ko
mizaj-e-waqt ke sanche mein dhal ke dekhte hain

jamal-e-yar ki tabish are maaz-allah
unhen jo dekhte hain wo sambhal ke dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close