nikal gulab ki mutthi se aur khushbu ban main bhagta hun tere pichhe aur tu jugnu ban tu mere dard ki khamosh hichkiyon mein aa tu mere zakhm ki tanhaiyon ka aansu ban main jhil banta hun shaffaf paniyon se bhari tu daud daud thaka be-qarar aahu ban tu meri raat ki tarikiyon ko gadha kar mere makan ka tanha charagh bhi tu ban phir us ke baad sabhi wusaten hamari hain main aankh banta hun 'jawed' aur tu bazu ban