nile pile siyah surkh safed sab the shamil isi tamashe mein yurish-e-rang ne zalil kiya aankh gum ho gai tamashe mein koi bhi in mein chaarasaz na tha sabhi bimar-e-justuju nikle tum hi socho ki be-dili kis se rasta puchhti tamashe mein jism ka sona rup ki chandi kaun sa dhan kisi ke pas raha ek mera tumhaara qissa kya sari duniya luti tamashe mein chand tha sahil-e-nafas ke qarib ek din mere dil mein dub gaya subh ka raaz raegan thahra sham bhi ghul gai tamashe mein kabhi dariya ke sath sath badhe kahin thithke kahin nazar na uthi ek umr-e-rawan thi ji ka ziyan so guzarti rahi tamashe mein ek shoala hawas ka bas mein na tha aap-apne se hath dho baithe khak aaghaz khak hi anjam aag aisi lagi tamashe mein