nind ke badle tasalli hi sahi aati to hai

nind ke badle tasalli hi sahi aati to hai
dil se baaten karte karte raat kat jati to hai

kya isi ka nam hai soz-e-mohabbat ham-nashin
ek bijli si meri rag rag mein lahraati to hai

is se badh kar aur kya tasir gham ki chahiye
dil ki aahon se jigar ki chot chhil jati to hai

kya yahi hai ai mohabbat hasti-e-dil ka maal
ek lahu ki bund mizhgan par nazar aati to hai

kuchh ba-zahir wasta is se hamein ho ya na ho
dekh kar us ki nigahen ruh tharraati to hai

soz-e-gham se jab bahut jalta hai dil apna 'jigar'
ruh ki manzil mein kuchh kuchh raushni aati to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close