nishan qafla-dar-qafla rahega mera

nishan qafla-dar-qafla rahega mera
jahan hai gard-e-safar silsila rahega mera

mujhe na tu ne meri zindagi guzarne di
zamane tujh se hamesha gila rahega mera

siyah dilon mein sitaron ki fasl ugane ko
hunar charagh ki lau se mila rahega mera

ujadte waqt se barbaad hoti duniya se
tere sabab se talluq dila rahega mera

na guftugu se ye larzish guman ki jaegi
agar asas ka patthar hila rahega mera

ye soch kar kabhi aks us kiran ka utra tha
is aaina mein sada dil khila rahega mera

'riyaz' chup se badhe aur dukh zarurat ke
mujhe tha zom ye ghao sila rahega mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close