niyyat agar kharab hui hai huzur ki gadh lo koi kahani hamare qusur ki kyun dil ki aag le na khabar dur dur ki kaundi hai har dimagh mein bijli futur ki har zulm par kiya hai zamane se ehtijaj kuchh bhi na ban pada to mazammat zarur ki tamir ka to waqt hai takhrib ka junun ab bhi hai aadmi ko zarurat shuur ki ai sham-e-gham ki gahri khamoshi tujhe salam kanon mein ek aai hai aawaz dur ki hosh ud gae to hosh haqiqat ka aa gaya musa ki be-hisi mein tajalli thi nur ki kahta hai inqalab zamana jise 'falak' ek duniya muntazir hai usi ke zuhur ki