numu ke faiz se rang-e-chaman nikhar sa gaya

numu ke faiz se rang-e-chaman nikhar sa gaya
magar bahaar mein dil shorishon se dar sa gaya

jafa-e-dost bahut sazgar aai hai
kharab ho ki ye dil aur kuchh sanwar sa gaya

na jaane baad-e-saba kya payam lai thi
ki phul hans to diya phir bhi munh utar sa gaya

ba-faiz-e-shauq ye din dekhna nasib hua
ki sar se dard ka tufan guzar guzar sa gaya

tilism-e-bazm fusun-e-jamal sehr-e-shabab
nigah-e-shauq ka daman gulon se bhar sa gaya

wo sham ho gai mansub un ki yaad ke nam
charagh jal sa gaya dagh-e-dil ubhar sa gaya

wo ek shokh ka andaz-e-guftugu 'taban'
jigar mein tanz ka nashtar utar utar sa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close