oDhi rida-e-dard bhi haalat ki tarah

odhi rida-e-dard bhi haalat ki tarah
tarikiyon mein dub gae raat ki tarah

shewa nahin ki shola-e-gham se karen gurez
har zakhm hai qubul nai baat ki tarah

nind aa rahi hai karb ki aaghosh mein mujhe
sine pe dast-e-gham hai tere hat ki tarah

main apne aap se kabhi bahar na aa saka
uljha raha hun khud main khayalat ki tarah

hairan hun ki khud ko bhi pahchanta nahin
jazbe badal rahe hain rusumat ki tarah

wo daud hai ki apni hawa bhi na chhu sakun
udti hai meri fikr bhi lamhat ki tarah

kya gul khilae meri udasi ki lahr ne
zehnon ke reg-zar mein barsat ki tarah

kya bastiyon ka zikr ki ehsas ki tapish
jangal jala gai mere jazbaat ki tarah

kya khub aashna hain ki pahchante nahin
jab bhi mile to pahli mulaqat ki tarah

duniya ka dard apne dukhon mein samet kar
mahsus kar raha hun gham-e-zat ki tarah

ahbab kis khulus se 'zulfi' meri ghazal
rakhte hain dil ke taq mein saughat ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close