pa ke tufan ka ishaara dariya tod deta hai kinara dariya kaise dubegi bhanwar mein kashti kaise dega na sahaara dariya sail-e-himmat hain hamare bazu dub jaega tumhaara dariya band afkar ne bandhe lekin chadh ke utra na hamara dariya ahl-e-himmat ne duboya sab ko na-khudaon se na haara dariya ai asir-e-gham sahil idhar aa bich dhaare se pukara dariya himmat-e-tark-e-wafa dub gai kis ne aankhon mein utara dariya mauj ne puchh liya kal 'tarzi' kashti pyari hai ki pyara dariya