paD gai jaise aql par miTTi

pad gai jaise aql par mitti
khak manzil hai rahguzar mitti

mod sakte hain gili hone tak
tut jati hai sukh kar mitti

be-zamiri jafa-kashi nafrat
nam badle hue hai har mitti

phir bhi zalim ki pyas baqi hai
ho chuki hai lahu mein tar mitti

aao taza musalahat kar len
pichhli baaton pe dal kar mitti

jitne farman the buzurgon ke
ho gae aaj be-asar mitti

kapde si si ke ghar chalati hai
hai wo kambakht kitni nar mitti

ungliyon ke hunar se ai 'akmal'
shakl pati hai chaak par mitti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close