pahle jo mera rang tha ab wo nahin raha maila kiya hai jis ne wahi dho nahin raha jaga hua hai dil mein koi dard-e-be-karan lori suna raha hun magar so nahin raha socho zara ye kitni aziyyat ki baat hai hum mar rahe hain aur koi ro nahin raha yani chura ke le hi gaya hai mujhe wo shakhs aaina kah raha hai ki tu wo nahin raha nazdik hai ki ab mujhe das le siyah raat mera wajud jalta diya jo nahin raha