pahle subh ka raushan tara sirf hamare dhyan mein tha

pahle subh ka raushan tara sirf hamare dhyan mein tha
lekin azm ki lau bhadki to suraj bhi imkan mein tha

shahr-e-jaan se dasht-e-adam tak karb ka mausam sath raha
jaane kis ki khoj mein the hum kis ka chehra dhyan mein tha

sahr-e-sud-o-ziyan mein shor tha ghatte badhte nirkhon ka
lekin us shaffaf gali ka har lamha nirwan mein tha

mahrumi ki barf pighal kar meri ragon mein jam jati
aankh mein suraj dar aate hi jism bhi aatish-dan mein tha

main thahra ek muflis shair nazr use karta bhi kya
bas ye jiwan war aaya hun jiwan hi imkan mein tha

sari umr guzari 'saghar' tab ye tilism-e-zat khula
ek chehre ka aks tha mujh mein ek chehra gul-dan mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close