pahle to dard-e-dil ka khulasa kare koi tab un se sharh-e-haal-e-tamanna kare koi dard-e-jigar ka pahle mudawa kare koi jab tu masih hone ka dawa kare koi mumkin nahin ki safha-e-hasti pe mil sake mere nishan-e-qabr ko dhundha kare koi badle na karwaten bhi koi farsh-e-khwab par gham se tadap tadap ke sawera kare koi sunna hai dard-e-dil ki mere dastan agar patthar ka pahle apna kaleja kare koi sham-e-shab-e-firaq hai takid-e-zabt-e-ah dil mein uthe jo dard to phir kya kare koi khamosh is tarah se hue sakinan-e-qabr dete nahin jawab pukara kare koi 'shoala' muhaal hai ki badhe dil ki raushni jab tak khayal-e-dost na paida kare koi