pahle to shahr bhar mein misal aaine hue

pahle to shahr bhar mein misal aaine hue
phir gard se sarapa sawal aaine hue

chehra chhupae phirta hai gahre naqab mein
ek shakhs ko to lau ki misal aaine hue

hum ko saza mili ki ujale the aaine
so apni jaan pe sara wabaal aaine hue

phir yun hua ki zabt ki surat nahin rahi
aur shahr-e-be-nawa ke ghazal aaine hue

jin ke sabab se hum hue matub shahr mein
ek waqt aa gaya wo khayal aaine hue

wo dard ji utha ki gareban the tar tar
wo rut umad padi ki nihaal aaine hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close