pahli si ab wo shoKHi guftar bhi nahin

pahli si ab wo shokhi guftar bhi nahin
muddat se zauq-e-naghma-o-ashaar bhi nahin

suni padi hai manzil-e-diwangi-e-ishq
kya ho gaya ki koi sar-e-dar bhi nahin

waiz sharab-noshi ke behad khilaf hain
mil jae muft ki to kuchh inkar bhi nahin

wo samne jo aae to nazren na uth sakin
ab mujh mein jaise taqat-e-didar bhi nahin

kab hogi khatm 'tahira' sham-e-gham-e-hayat
ab tak numud-e-subh ke aasar bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close