pahuncha hai uske pas ye aaina TuT ke

pahuncha hai us ke pas ye aaina tut ke
kis se mila hai shisha-e-dil hum se phut ke

husn-e-malih ka na kiya zakhmiyon ne shukr
ai kirdgar nikle namak phut phut ke

sar phod kar mue jo tere sang-e-dar se hum
rah rah gae hasin bhi mathon ko kut ke

be-nur hone par bhi wahi josh-e-girya hai
aankhen hamari aur bahin phut phut ke

ai rashk-e-mah raat ko mutthi na kholna
mehndi ka chor hath se jae na chhut ke

tadbir zahr dene ki hai paemalon ko
hire lagae jate hain pannon mein boot ke

dil le ke palken phir gain zulfon ki aad mein
ulti phiri ye fauj sar-e-sham lut ke

mauzun karenge wasf dikhao phaketiyan
jaane na paen hath se mazmun chhut ke

dete hain mere samne ghairon ko kharpuze
bagh-e-jahan mein aap hain mushtaq phut ke

kanghi se zulf uljhi to dil tukde ho gaya
aaine mein ye baal pade tut tut ke

raftar mein na kyun ho chamak raqs-e-naz ki
zohra bhi hai sharik sitaron mein lut ke

ai rashk-e-mah jo zohra-e-gardun ka bas chale
tode tumhaare nach ke le jae lut ke

naqd-e-hayat-o-jama-e-tan chhinti hai kyun
ai maut kya karegi musafir ko lut ke

ambar ke badle mushk hai mauj-e-khiram mein
zulfon ke baal mil gae fite se lut ke

afshan jo chhuti aap ke mathe se raat ko
tare gire zamin par ai mah tut ke

ro ro ke ruh jism se kahti hai waqt-e-naza
ai ghar milenge dekhiye kab tujh se chhut ke

mujh ko nahin pasand ye farmaish ai 'munir'
kyun jhut bandhun qafiyon mein tut phut ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close