pai hamesha ret bhanwar katne ke baad tishna-labi ka lamba safar katne ke baad kuchh aise kam-nazar bhi musafir hamein mile jo saya dhundte hain shajar katne ke baad fan ki hamare aaj bhi shohrat hai har taraf wo mutmain tha dast-e-hunar katne ke baad utri hui hai dhup badan ke hisar mein qurbat ke faslon ka safar katne ke baad shewa to zabt ka hai magar kya karun 'zafar' badhti hai pyas aur bhi sar katne ke baad