pan ban ban ke meri jaan kahan jate hain ye mere qatl ke saman kahan jate hain sar agar jae to jae magar ai khanjar-e-yar sar se apne tere ehsan kahan jate hain baad marne ke bhi mitti meri barbaad rahi meri taqdir ke nuqsan kahan jate hain haal khulta nahin in khwesh-faramoshon ka roz ke roz ye mehman kahan jate hain kis ki aashufta-mizaji ka khayal aaya hai aap hairan pareshan kahan jate hain aaj kis munh se meri dil-shikani hoti hai aaj wo aap ke mehman kahan jate hain ai 'zahir' ab ye khula haal badi dur hain aap aap jate hain jahan dhyan kahan jate hain