pani ko patthar kahte hain

pani ko patthar kahte hain
kya kuchh dida-war kahte hain

khush-fahmi ki had hoti hain
khud ko danish-war kahte hain

kaun lagi-lipti rakhta hai
hum tere munh par kahte hain

thik hi kahte honge phir to
jab ye professor kahte hain

sab un ko andar samjhe the
wo khud ko bahar kahte hain

tera is mein kya jata hai
apne khandar ko ghar kahte hain

nazm samajh mein kab aati hai
dekh is ko mantar kahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close