parai nind mein sone ka tajraba kar ke

parai nind mein sone ka tajraba kar ke
main khush nahin hun tujhe khud mein mubtala kar ke

usuli taur pe mar jaana chahiye tha magar
mujhe sukun mila hai tujhe juda kar ke

ye kyun kaha ki tujhe mujh se pyar ho jae
tadap utha hun tere haq mein bad-dua kar ke

main chahta hun kharidar par ye khul jae
naya nahin hun rakha hun yahan naya kar ke

main jutiyon mein bhi baitha hun pure man ke sath
kisi ne mujh ko bulaya hai iltija kar ke

bashar samajh ke kiya tha na yun nazar-andaz
le main bhi chhod raha hun tujhe khuda kar ke

to phir wo rote hue minnaten bhi mante hain
jo intiha nahin karte hain ibtida kar ke

badal chuka hai mera lams nafsiyat us ki
ki rakh diya hai use main ne an-chua kar ke

mana bhi lunga gale bhi lagaunga main 'ali'
abhi to dekh raha hun use khafa kar ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close