parda-dar hasti thi zat ke samundar mein

parda-dar hasti thi zat ke samundar mein
husn khub khul khela is sifat ke manzar mein

husn ishq mein hai ya ishq husn mein muzmar
jauhar aaine mein ya aaina hai jauhar mein

ishq-e-mahshar-ara ki tur par giri bijli
husn-e-lan-tarani ki rah saka na chadar mein

dekh ai tamashai gul hai rang-o-bu bilkul
imtiyaz na-mumkin hai arz se jauhar mein

gul mein aur bulbul mein kaun jaane kya guzri
chashm-posh masti thi is barahna manzar mein

upchi banate hain husn ko sukhan go kyun
kat in adaon ka kab hai tegh-o-khanjar mein

fart-e-soz-e-ulfat mein dekh kar sakun dil ka
bijliyan machalti hain baadalon ke mahshar mein

chaaragar ko hairat hai irtiqa-e-wahsaht se
panw mein jo chakkar tha aa raha hai wo sar mein

hasrat aarman ki ho kahna se gunjaish
hai wahi mere dil mein hai wahi mere sar mein

hon wo rind ya sufi mast us ki dhun mein hain
jaane kitne mai-khane bhar diye hain kausar mein

charkh kya utar aaya aaj farsh-e-giti par
rind bhi hain chakkar mein mai-kada bhi chakkar mein

mai wo hosh par afgan aur nazar wo sahba-pash
mast kyun na ho 'kaifi' ek do hi saghar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close