parda-e-husn-e-zat mein anjuman-e-sifat mein

parda-e-husn-e-zat mein anjuman-e-sifat mein
mere siwa hai aur kaun sina-e-kaenat mein

farsh ki wusaten bhi gum arsh ki rifaten bhi jazb
mere takhaiyyulat mein mere tasawwuraat mein

naghma-e-be-sada hun main naz-e-girah-kusha hun main
shama-e-rah-e-huda hun main zulmat-e-shash-jihat mein

meri hi fitrat-e-qadim sarhad-e-la-makan se dur
mera hi naqsh-e-na-tamam qaid-e-tainat mein

mere wajud-e-khas se silsila-e-fana-baqa
mujh se hi raunaq-e-tamam bazm-e-tajalliyat mein

meri hi fikr-e-makhfi-o-mashq-e-nazar ke faiz se
jazb-o-kashish ki quwwaten hasti-e-be-sabaat mein

'arzu' apne raaz ko samjha hun main bas is qadar
mujh mein hijab-e-zat hai main hun hijab-e-zat mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close