parde ko jo lau de wo jhalak aur hi kuchh hai

parde ko jo lau de wo jhalak aur hi kuchh hai
nadida hai shoala to lapak aur hi kuchh hai

takraate hue jam bhi dete hain khanak si
ladti hain nigahen to khanak aur hi kuchh hai

ishrat-gah-e-daulat bhi hai gahwara-e-nikhat
mehnat ke pasine ki mahak aur hi kuchh hai

han josh jawani bhi hai ek khuld-e-nazara
ek tifl ki masum humak aur hi kuchh hai

shab ko bhi mahakti to hain ye adh-khili kaliyan
jab chum len kirnen to mahak aur hi kuchh hai

kamzor to jhukta hi hai qanun ke aage
taqat kabhi lachke to lachak aur hi kuchh hai

ashkon se bhi ho jata hai aankhon mein charaghan
bin-barsi nigahon ki chamak aur hi kuchh hai

ro kar bhi thake jism ko nind aati hai lekin
bachche ke liye man ki thapak aur hi kuchh hai

bazm-e-adab-e-hind ke har gul mein hai khushbu
'mulla' gul-e-urdu ki mahak aur hi kuchh hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close