parinde hum ko peDon par dikhai kyon nahin dete

parinde hum ko pedon par dikhai kyon nahin dete
kisi bhi shakh par ab ghar dikhai kyon nahin dete

na titli hai na shabnam hai na kaliyan hain na ghunche hain
bahaaron ke bhala manzar dikhai kyon nahin dete

sitare so rahe hain aasman ko god mein thak kar
mujhe ab chand ke manzar dikhai kyon nahin dete

jahan amn-o-aman ki dewiyan aawaz deti thin
ab aise khub-ru mandir dikhai kyon nahin dete

sharafat fakhr-e-insan thi kabhi iman-o-rahat thi
zamane mein ye ab jauhar dikhai kyon nahin dete

piyale kyon mere honton tak aa kar tut jate hain
rasile ab yahan saghar dikhai kyon nahin dete

riya-kari hai kyon shewa hamare doston ka ab
mohabbat ke yahan gauhar dikhai kyon nahin dete

jahan insan ki insan se ho dosti 'gulshan'
kisi bhi samt aise dar dikhai kyon nahin dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close