pas-e-yaqin kahin hum bhi tere guman mein hain tera nishan hain ye tare jo aasman mein hain haram-sara tha tera dil so chhod aae use wagarna kahne ko ab bhi usi makan mein hain mere nasib ke khush-rang khwab aur sarab na is jahan mein the aur na us jahan mein hain main apne waste in mein se khud hi chun lungi wo sanehe jo mayassar teri dukan mein hain sarab hain ye tumhaare sab aaina-khane basarten bhi na-jaane kis imtihan mein hain kabhi wo aaina-e-chashm mein sanwarte the wo sare khwab nisabon ke jo bayan mein hain na-jaane laenge dil par tabahiyan kya kya wo hadse jo abhi tak teri kaman mein hain ye pul-siraat kahan le chala hamein 'anjum' na hum zamin ke rahe aur na aasman mein hain