patthar ki nind soti hai basti jagaiye

patthar ki nind soti hai basti jagaiye
aab-e-hayat sa koi eajaz laiye

jal jaiye maqam pe apne misal-e-shama
apne badan ki lau se na ghar ko jalaiye

ek nahr katiye kabhi sine se chand ke
daman-e-shab mein nur ka dhaara bahaiye

aa to gae hain aap kharidar ki tarah
kuchh tan ko kharch kijiye jaan ko bhunaiye

jin ke dhuen se phailti hai aafiyat ki lau
aise bhi kuchh charagh sar-e-shab jalaiye

aabaad kijiye isi ghar mein junun ko aap
is ghar mein kya nahin hai jo sahra ko jaiye

phuta hai jis se raat ke sine mein mahtab
ek bij aisa zulmat-e-dil mein ugaiye

chahat mein un ki bit gai zindagi 'samad'
khud ko bhi pyar kijiye khud ko bhi chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close