peshani-e-hayat pe kuchh aise bal pade hansne ko dil ne chaha to aansu nikal pade rahne do mat bujhao mere aansuon ki aag is kashmakash mein aap ka daman na jal pade hans hans ke pi raha hun isi tarah ashk-e-gham yun dusra piye to kaleja nikal pade 'nashtar' wo ahl-e-ishq bhi hain kitne tang-nazar un ki zaban nam mera sun ke jal pade